Nazm Tumhe Udaas Sa Paata Hoon Main Kayi Din Se...sahir Ludhyanvi

D

dasht-e-tanhae

New Member
9
 
Messages
2,705
Reaction score
2,177
Points
451
Tumhe Udaas Sa Paata Hoon Main Kayi Din Se,
Na Jaane Kaun Se Sadme Utha Rahi Ho Tum,
Wo Shokhiyan Wo Tabassum, Wo Kahkahe Na Rahe,
Har Ek Chiz Ko Hasrat Se Dekhti Ho Tum,
Chhupa Chhupa Ke Khamosh Mein Apni Bechaini,
Khud Apne Raaz Ki Taashir Ban Gayi Ho Tum,

Meri Ummeed Agar Mit Gayi To Mitne Do,
Ummeed Kya Hai Bas Ek Paas-O-Pesh Hai Kuch Bhi Nahi,
Meri Hayaat Ki Ghamgeeno Ka Gham Na Karo,
Gham Hayat-E-Gham Yaq Naqs Hay Kuch Bhi Nahi,
Tum Apne Husn Ki Ranaaiyon Par Rehem Karo,
Wafa Fareb Tul Hawas Hai Kuchh Bhi Nahi,

Mujhe Tumhare Tagaaful Se Kyon Shikayat Ho,
Meri Fana Mere Ehsaas Ka Taqaza Hia,
Main Jaanta Hoon Ke Duniya Ka Khauf Hai Tumko,
Mujhe Khabar Hia Ye Duniya Ajeeb Duniya Hai,
Yahan Hayaat Ke Parde Mein Maut Chalti Hai,
Shikast Saaz Ki Aawaz Mein Ruu Nagma Hai,

Mujhe Tumhari Judayi Ka Koi Ranj Nahin,
Mere Khayal Ki Duniya Mein Mere Paas Ho Tum,
Ye Tumne Thik Kaha Hai Tumhein Mila Na Karun,
Magar Mujhe Bata Do Ke Kyon Udaas Ho Tum,
Khafa Na Ho Meri Jurrat-E-Takhtab Par,
Tumhein Khabar Hai Meri Zindagi Ki Aas Ho Tum,

Mera To Kuchh Bhi Nahin Hia Main Ro Ke Jee Lunga,
Magar Khuda Ke Liye Tum Aaseer-E-Gam Na Raho,
Hua Hi Kya Jo Zamane Ne Tumko Chheen Liya,
Yahan Par Kuan Hua Hai Kisi Ka Socho To,
Mujhe Kasam Hai Meri Dukh Bhari Jawani Ki,
Main Khush Hono Meri Mohabbat Ke Phool Thukra Do,

Main Apni Rooh Ki Har Ek Khushi Mita Lunga,
Magar Tumhari Masarrat Mita Nahi Sakta,
Main Khud Ko Maut Ke Haathon Mein Saunp Sakta Hoon,
Magar Ye Bar-E-Musaayib Utha Nahin Sakta,
Tumhare Gam Ke Siwa Aur Bhi To Gam Hai Mujhe,
Nijaat Jinse Main Ek Lahaza Paa Nahi Sakta,

Ye Unche Unche Makano Ki Devadiyon Ke Tale,
Har Kaam Pe Bhuke Bhikariyon Ki Sada,
Har Ek Ghar Mein Aflaas Aur Bhookh Ka Shor,
Har Ek Simt Ye Insaaniyat Ki Aah-O-Booka,
Ye Kaarkhano Mein Lohe Ka Shor-O-Gul Jis Mein,
Hai Dafan Laakhon Gareebon Ki Rooh Ka Nagma,

Ye Sharahon Pe Rangeen Sadiyon Ki Jhalak,
Ye Jhonpdiyon Mein Gareebon Ke Be-Qafan Laashein,
Ye Maal Road Pe Karon Ki Rail Pail Ka Shor,
Ye Patariyon Pe Gareebon Ke Zard Roo Bachhe,
Gali Gali Mein Bikte Hue Jawaan Chehre,
Haseen Aankhon Mein Afsurdagi Si Chhayi Hui,

Ye Jang Aur Ye Mere Watan Ke Shokh Jawaan,
Khareedi Jaati Hia Uthati Jawaniyan Jinki,
Ye Baat Baat Pe Kanoon Aur Zabte Ki Giraft,
Ye Zisq Ki Gulami Ye Daur-E-Majboori,
Ye Gam Hai Bahut Meri Zindagi Mitane Ko,
Udaas Rehke Mere Dilko Aur Ranj Na Do...


 

Back
Top