Ghazal Tumhein Yad Ho K Na Yad Ho

Wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho
wohi yani wada nibah ka tumhen yaad ho ke na yaad ho

wo naye gile wo shikayaten wo maze maze ke hikayaten
wo har ek baat pe ruthana tumhen yaad ho ke na yaad ho

koi baat aisi agar hui jo tumhare jee ko buri lagi
to bayan se pahale hi bhulana tumhen yaad ho ke na yaad ho

suno zikr hai kai saal ka, koi wada mujh se tha aap ka
wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yaad ho ke na yaad ho

kabhi hum mein tum mein bhi chah thi, kabhi hum se tum se bhi reh thi
kabhi hum bhi tum bhi the aashna, tumhen yaad ho ke na yaad ho

hue ittefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yaad ho ke na yaad ho

wo jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam ke hath mere hath par
mujhe sab hain yaad zara zara, tumhen yaad no ki na yaad ho

kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu
wo bayan shauq ka baramala tumhen yaad ho ki na yaad ho

wo bigadana vasl ke raat ka, wo na manana kisi baat ka
wo nahiin nahi ke har aan ada, tumhen yaad ho ki na yaad ho

jise aap ginte the aashna jise aap kahate the bavafa
main wohi hun “momin”-e-mubtala tumhen yaad ho ke na yaad ho
 
Attachments

  • 01 Choori Maza Na Degi - www.downloadming.com.mp3
    4.9 MB · Views: 32

Ana ji yeh lines ko translate karengi, bara e meherbani :)
wohi yani wada nibah ka tumhen yaad ho ke na yaad ho
 
Mjhe yad parha hai k ek thread me @Ana Zai ne kaha tha un ko poetry ki alif bee bhi nhi ati hai tu phir ye kia hai ana itni achi or lajawab poetry ana ne khn se dhonndhi
 
@mrs fazal Yeh to BAchy BAchy ko Ati :o_O:
 
Back
Top