Ghazal Umar Guzre Gi Imtihan Mein Kya

Urdu Ghazal Khamoshi keh rahi hai kaan mein kya written in Urdu text, Umar Guzregi Imtihan Mein Kya by Jaun Eliya
Hunain Naeem

Hunain Naeem

Well-Known Pakistani
5
 
Messages
485
Reaction score
1,223
Points
151
umar guzregi imtehaan mein kya
daagh hi denge mujh ko daan mein kya

meri har baat be asar hi rahi
naqs hai kuch mere bayaan mein kya

mujh ko to koi tokta bhi nahin
yahi hota hai khandaan mein kya

apni mehroomiyan chhupate hain
hum ghareebon ki aan baan mein kya

khud ko jaana juda zammane se
aa gaya tha mere gumaan mein kya

shaam hi se dukan e deed hai band
nahin nuqsan tak dukan mein kya

ai mire subh o sham e dil ki shafaq
tu nahati hai ab bhi baan mein kya

bolte kyun nahin mere haqq mein
aable paR gaye zubaan mein kya

khamoshi keh rahi hai kaan mein kya
aa raha hai mere guman mein kya

dil kay aate hain jis ko dhyaan bohot
khud bhi aata hai apne dhyaan mein kya

woh mile to yeh poochhna hai mujhe
ab bhi hun main teri amaan mein kya

yun jo takta hai aasmaan ko tu
koi rehta hai aasmaan mein kya

hai naseem e bahar gard-alood
khaak udti hai us makan mein kya

yeh mujhe chain kyun nahin parta
aik hi shakhs tha jahan mein kya

(Jon Elia)
Read more Jon Elia Poetry - Urdu Shayari of Poet Jaun Elia | Pakistan Social Web
 

Back
Top