Ghazal Un K Andaz-E-Karam , Un Pay Wo Ana Dil Ka By Peer Naseer Uddin Naseer

Asad Rehman

Asad Rehman

Super Star Pakistani
16
 
Messages
13,866
Reaction score
33,100
Points
1,451
Peer Naseer Uddin Naseer


un k andaz-e-karam , un pay wo ana dil ka
haey wo waqt , wo batein , wo zamana dil ka

na suna us ne tawajo say fasana dill ka
zindgy guzri , magar dard na jana dil ka

kuch nae batein nahi husn pay ana dil ka
mashghla he ye nihayet he purana dil ka

wo muhabat ki shoraat , wo be tahasha khushi
dekh kar un ko phoolay na samana dill ka

dil lagi , dil ki lagi ban k mita deti he
rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka

ek tu meray muqadar ko bigara us ne
aur phir us pay ghazab hans k bana dil ka

meray pehlo mein nahi , ap ki muthi mein nahi
be thikanay hein bohat din say thikana dill ka

wo bhi apnay na hoay , dil bhi gia hathon say
esay anay say tu behtar tha na ana dill ka

khoob hein ap bohat khoob , magar yaad rahay
zeb deta nahi esooon ko sataana dill ka

be jhijhak aa k milo , hans k milao ankhein
aur hum tum ko sikhatay hein milana dill ka

naqsh bar aab nahi , wehm nahi , khuwab nahi
ap kion khel samjhtay hein mitana dill ka

hasratein khaak hoein , mit gaey armaan saray
lut gia koochae jaanaN mein khazana dill ka

le chala he meray pehlo say basid shauq koi
ab tu mumkin nahi laut kay ana dill ka

un ki mehfil mein Naseer , un k tabasum ki qasam
dekhtay reh gaey hum , haath say jana dill kaa

 

Back
Top