Nazm US JHEEL KINARAY PAL DO PAL......

Falak

Falak

Super Star Pakistani
I Love Reading
15
 
Messages
11,348
Reaction score
19,975
Points
1,236
Salam everyone....
I came across something @Veer had posted this morning from the great Amjad Islam...Just to let you know i am a great fan of Amjad Islam so it brought back to mind one of his very beautiful nazam which was somewhere in the back of my mind..:) i want to to share it with you...this may have been repeated many times, but it's an awesome piece of poetry and one of my fav...hope all you poetry lovers enjoy it:)



US JHEEL KINARAY PAL DO PAL......


Us jheel kinaray pal do pal
Ik khwab ka neela phool khilay,
Wo phool baha dein lehroan mein
Ik roz kabhi hum shaam dhaley..

Us phool ke behtey rangoan mein
jis waqt larazta chaand chalay,
Us waqt kaheen un aankhoan mein
Us bisray pal ki yaad to ho
Un jheel see gehree aankhoan mein
ik shaam kaheen abad to ho!

Phir chahay aankh dareechey se
ye khwab guraizan ho jaey
Phir chaheyumr samander ki
her moj pareeshan ho jaye
phir chahey phool ke chehray ka
Her dard numayan ho jaye,

Us jheel kinaray pal do pal
Wo roop nagar eejad to ho
Un jheel see gehree aankhon mein
Ik shaam kaheen abad to ho!!​
 

Un jheel se gehri ankhon men
Ik sham kahen abad to ho

@Falak
Jo kamal Amjad sahib ko nazam men hasil he km he kisi k pass he
Bar bar repeat honay say bhi khubsurty km nhi hoti un nazmon ki
Nice collection
 
Back
Top