Ghazal Uzr anay may bhi hai aur bulatay bhi nhi by Daagh Dehlvi

Hareem

Hareem

Popular Pakistani
Staff member
Digital Library Staff
Baby Names Staff
9
 
Messages
3,544
Reaction score
8,684
Points
461
Uzr anay may bhi hai aur bulatay bhi nhi
Baais-e-tark e mulaqaat btatay bhi nhi

Muntazir hai dam-e-rukhsat k ye mar jaye to jain
Phir ye ehsan k hm chod k jatay bhi nhi

Sar uthao to sahi ankh milao to sahi
Nasha-e-mai bhi nhi neend k maate bhi nhi

Kya kaha phir to kaho hum nhi sunty teri
Nahi suntay to hum aison ko sunatay bhi nhi

Khoob parda hai k chilman se lagay bethy hain
Saaf chuptay bhi nhi samney atay bhi nhi

Mujh se laghar teri ankhon may khatakty to rahay
Tujh se nazuk meri ankhon may samatay bhi nhi

Dekhty hi mujhe mehfil may ye irshad hua
Kon betha hai usay log uthatay bhi nhi

Ho chuka qata-e-taluq to jafaen q hon
Jin ko matlb nhi rehta wo satatay bhi nhi

Zeest se tang ho Aye 'Daagh' to jeetay q ho
Jaan pyari bhi nhi jaan se jatay bhi nhi !​
 
@Wanderer @Hafsa @Emma Dil
 

Khoob parda hai k chilman se lagay bethy hain
Saaf chuptay bhi nhi samney atay bhi nhi

Yeh shair zaban zad aam ho gaya tha. Mahawray main istaimal hota hai aaj tak.
 
Back
Top