Yeh bas aik example thi, asal baat jo main kehna chahta hoon.. Mera hamesha say yeh believe raha hai k insan ki ezzat aik muqam per mustaqil mizaji say jamay rehnay may hai, na k kabhi idhar kabhi udhar, kabhi saath diya.. kabhi chhor diya, apni pehchaan apni shanakht kabhi nahi badalni chahiye. Meray marhoom dada jaan nay mujhay yeh baat 12 saal pehlay samjhayi thi aur tab say main is per qaim hoon, main nay apni pehchaan aik jaga say banayi aur aaj tak usi jaga say hai (Pakistan.web.pk). Hamari ezzat apnay ghar apnay watan say hai, apni pehchaan kabhi na bhoolein, apna ghar kabhi na chhorein aap sab k liye pyar.