Ghazal Wa'ada Na Sahi Yonhi Chalay Aao Kisi Din By Ehsan Danish

Asad Rehman

Asad Rehman

Super Star Pakistani
16
 
Messages
13,866
Reaction score
33,100
Points
1,451
wa'ada na sahi younhi chalay ao kisi din
gesay meray dalaan mein lehrao kisi din
sun sun k harefon k tarashay hoay ilzam
miyar-e-harefaaN pay na aa jao kisi din
yaro mujhay mazoor , tughafal bhi jafa bhi
lekin koi us ko tu mana laao kisi din
kion hm ko smjhta he wo do qalab-e-yak jan
khush fehm zamnay ko tu samjhao kisi din
guthi talab-o-tarak ki khulti he rahay gi
is uqda-e-hasti ko tu suljhao kisi din
kuch soch k apas ki shikayat ko barhao
duniya mein akelay he na reh jao kisi din
bekar paray hein nigah-e-shoq k behray
iss bahr mein tufan bhi lao kisi din
hein jabke mah-o-mehr-e-ziakhuah tumhe se
lau meray diye ki bhi tu uksao kisi din
ye khush jazeeray kahin pathar he ban jain
ankhein jo ata ki hein nazar ao kisi din
Danish he k asha'ar hein Danish he k afkar
esa na ho Danish he ko ho jao kisi din
 

Back
Top