Ghazal Wafa Ka Ahad Tha By Ahsan Danish

nizamuddeen

nizamuddeen

Well-Known Pakistani
6
 
Messages
779
Reaction score
1,208
Points
216
wafa ka ahad tha dil ko sanbhalnay kay liye

wo hans paRay mujhay mushkikl main Dalnay kay liye

bandha howa hay baharo ka ab wahin tanta

jahan ruka tha main kanTay nikalnay kay liye

koe naseem ka naGhma, koe shameem ka rag

fiza ko aman kay qalib main Dhalnay kay liye

Khuda na karda zameen paoon say agar khiski

baRhain gay tund bagolay sanbhalnay kay liye

utar paRay hain kidhar say ye aandhio kay jaloos

samandaro say jazeeray nikalnay kay liye

teri saleeqa-e-tarteeb no ka kia kehna

hameen thay qurya-e-dil say nikalnay kay liye

kabhi humari zaroorat paRay gi dunya ko

dilo ki barf ko sholo main Dhalnay kay liye

konway main phaink kay pachta raha hoon danish

kamand jo thi minaro pe Dalnay kay liye

(ahsan danish)
1.jpg
 

Back
Top