Waswasay ki Beemari aur iska ilaaj

Plz is nufsiyati beemari ka ilaj bata dein
Yeh aik video bayan hai, Shaitani Waswasay aur unka Ilaaj
Video Lectures - Shaitani Waswasay aur unka Ilaaj

Aur "Wehem" kay hawalay say main nay aik azmooda rohani ilaaj parha hai, woh kuch yoon hai:

Rozana 21, 21 bar "اللہ لا الہ الا ھو الحی القیوم" subah nehaar moonh aur shaam haathon per damm karein aur donon haath chehray per phair lain. yeh amal kam az kam 1 mah tak jari rakhein. Chaltay phirtay wuzoo bay wuzoo kasrat say Ism e ilaahi "یا حی یا قیوم" ka wird jaari rakhein.
(Ref. Abqari, October 2011)
 
“A'uzubillahi Minash Shaita-nir-Rajeem”
Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aur Agar Aapko Shaitaan Ki Taraf Se Koi Waswase Aane Lage Tou Allah Ki Panaah Maang Liya Karo,
Bila-Shuba Woh Khoob Sun’ne Waala Aur Khoob Jaan’ne Waala Hai,
Beshak Jo Allah Se Darte Hai. Jab Unko Shaitaan Ki Taraf Se Koi Khatra Hota Hai,
Woh Allah Ki Yaad Me Lag Jaate Hai, So Yakaayak Unki Aankhen Khul Jaati Hai,
Aur Jo Shaitaan Ke Ta’bey Hai Woh Unko Gumraahi Me Kheenche Chale Jaate Hai, Pas Woh Baaz Nahi Aate.
– (Sureh-Aa’raaf: Aayat: 200-202)

“A'uzubillahi Minash Shaita-nir-Rajeem”
Tarjuma: Allah ki Panah Mangta hu Mai Shaitan Mardud ke Sharr se,.

#Shaitaani Waswaso Ka Ilaj :
RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aahadees Ka Mafhoom Hai Ke:
Jisko Shaitani Wasaawis Aatey Hai Wo Aayatul Khursi Tilawat Kar Ley,.”
– (Sahi Bukhari)

Ek Aur Riwayat Me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Moajatain Padhkar Apne Nafs Par Dam Karo !
Iss Se Shaitan Se Hifazat Hoti Hai,..”
– (Jamey Tirimizi)

Note: Moajatain se Muraad Surah Falaq aur Surah Naas Hai.
 
Try to be with people you trust, speak honestly, since when you have this problem be open with you trustworthy people.... sometimes past trauma stuck in mind that's why this issue appear... always check solid factual reality before doing or saying in this way your relation will not suffer... never let anything obsess in your mind... do work that have mental and physical exercise in it... remember don't act on your thought if you have this problem otherwise you will not only hurt yourself but loved ones too....
 
Back
Top