Wo Chal Diya...

Abdullah Bin Nazir

Abdullah Bin Nazir

Popular Pakistani
7
 
Messages
1,648
Reaction score
3,808
Points
336
kafi arse ki baat hai k mein or wo aik train mein safar kr rhe the. Hum dono ki manzil aik thi lakin hum ajnabi thi. Us haseen safar k haseen waqt ne hun dono ko ajnabi se dost bana diya. Hum aik hi soch k sath aik hi manzil ki taraf gamzan the.

Wo mera dost ban gya tha, han aik saathi, han aik hamdard, han aik Zindagi ka humsafar...

Me yehi soch rha tha k ab ye safar Bahisht ki taraf mor le ga. Bht jald Khushiyo'n ka sooraj taloo ho ga.

Hm dono k paaas 2 bag the, jis me hmari safar k liye zaroorat ki chand cheezain thin. hm ne apni cheezain baant lin ta k hme koi mushkil na ho, khane ki cheezain aik bag mei or pehn'ne k liye kabre aik bag me kr liye. Hum dono ne aik hi station par qayam krna tha or wahin se hmari manzil ka rasta tha. Hmari gari aik station par ruki, or isk baad jb dubara rawangi ka waqt aya toaik alan sun'ne ko mila, "ane wale station par sb logo'n ko kuch din k liye rukna pare ga, age rasta kharaab hai phr usk baad haare safar ka aghaz ho ga, is liye apne khane oeene ki cheezain khareed lain". Ye aylan sunte hi us ne apni khane peene wali cheezo'n ka bag liya or gari mein se jaldi se nikal'ne k liye awaz de kr mujhe tanha chor kr khud chal para. mere paas dosra bag tha jis me chand kapre the, mein ne bhi jaldi se bahir nikalne ki koshish ki qnk gari chal pari thi lakin badqismati se mere bag ka ribbon gari ki seat k sath phans gya, me bag ko chor bhi nhin skta tha qnk us me mere Maa baap ki kuch tasaweerain thin, is se pehle k meinus ribbon ko nikalta gari ne apni raftar raiz kr li or mera or uska sath choot gya, or me usse pukarta reh gya. Mujhe tanha, beyar o madadgar chor kr, Wo chal diya...

Us ne to apni ik nai zindagi ka agaz kr liya ho ga, usk paas peh'ne hue kapre bhi the or khane peene ki cheezain bhi. Shyd mere sath k bgair wo reh skta tha isi liye meri taraf murr kr us ne kabhi na daikha. Wo waade, wo baten, wo pyar bss us waqt-e-safar ko jaldi guzarne k liye hi the.

Jab hamara qayam us jaga par hua jaha'n gari ne rasta kharab hone ki waja se thehar'na tha to us waqt mere paas chand kapro'n k elawa kuch na tha. Mere sath chand kamzor Borhi khawateen or mard bhi the, jo qismat k us zulm, us azmaish ko sakht sardi me bardasht kr rhe the. Jb sooraj ne apna chehra in dunya walo'n se chupa liye to phr sakht sardi ne apni taqat dikhai. Har taraf Tareeki, Tanhai, wo thand, wo bechaini, or wo dil pe dard ki hukmarani..... Sb Judaaa the...

Mene us be intiha srdi me aik esi boorhi khaatoon ko daikha jisk sath 4 masoom se bache the or sardi se bachao k liye aik choti si chadar jis se siraf 2 bache dhanpe ja skte the. Wo thori dair k liye 2 bacho'n ko dhanpti ta k unhen sakoon mil jay. Phr jab doosre bache sardi se bht zyada kanpne lgte to wohi chadar un dono k upar de deti. Bss ye silsila yunhi chalta rha. lakin wo khaatoon khud sardi se najane kese muqabla kr rhi ho gi.
Me un maasoom bacho'n k ansuo'n ko na daikh ska, or na me bardasht kr ska us Maa ki bebassi ko...mere paas jitne bhi kapre the wo mene us Maa or usk bacho'n me taqseem kr diye or unho'n ne apni raat khushi se or araam se basar kr li.

Mere liye wo raat, wo qayyam kisi mout se kam na tha. me tanha tha beyar o madadgar.... Na kuch khane ko na peene ko or na pehn'ne ko.. Wo din mene ese hi guzare. Me wo din kabhi nhin bhoolta, mere liye wo mout thi, beshak sansain chalti rhin.
Usk baad safar ka agaz to ho gya lakin aaj tk wo train nhin ruki, or na hi me us manzil tk pohncha jahan tk hum don ne aik sath pohnchna tha. Aj bhi me ussi gari me safar teh kr rha hun, tanha, or apne rabb se dua krta hun k phr gari ghoom kr ussi station par jaa ruke or me apne dost ko, apne hunsafar ko whin pao'n, wese hi, mera intizar krte hue..
Han me aaj bhi intizar kr rha hun...

Rabb janta hai k meri qismat, mere muqaddar, meri is gari ko whin, usi station par lechlain ge k nhin... Lakin han mujhe Tanha chor kr, Wo chal diya..!


By
Abdullah Nazeer
Taalib-e-Dua
 

Back
Top