Ghazal Wo jo ishq tha , wo nahi raha by mushtaq ajiz

Asad Rehman

Asad Rehman

Super Star Pakistani
16
 
Messages
13,866
Reaction score
33,100
Points
1,451
IMG_1457.JPG
 
@M Shah @yusra avais @Bella khan @Ajwah @Noor-e-Kainat @b khan @Wanderer @Kool Kat @Hafsa @Zirwah @Imal @mehernigar @ruksana @Kashf @doctorabidasajid @Muniza awan @Areeba Zahra
@Sajjal @Mahsa @Amina chattha @Syeda Rumessa @Imaan Shah
 


Wo Jo Ishq Tha Wo Nahi Raha, Wo Jo Piyar Tha Wo Nahi Raha
Meri Ankh Mai Kissi Khwab Ka Jo Khumaar Tha, Wo Nahi Raha

Wo Jo Khushbo'on Ki Faseel Thi Mery Chaar-soo, Wo Nahi Raha
Mery Chaar-soo Wo Jo Roshni Ka Hisaar Tha, Wo Nahi Raha

Wo Jo Rung-o-Bo Ka Shikaar Tha, Wo Jo Gul Rukho'n Pay Nisaar Tha
Wo Jo Mubtila-e-Bahar Tha, Dil Zaar Tha, Wo Nahi Raha

Gam-e-jism-o-Jaan, Dam-e-Dosta'n, Gam-e-Riftga'n Bhi Baja Mager
Wo Jo Gam Kad
ay Ka Nikhar Tha, Gam-e-Yaar Tha, Wo Nahi Raha

Wohi Jalwa Gah-e-Jamal Hai, Wohi Rasm-o-Rah-e-Junoon Mager
Sir-e-Ashiqa'n Ka Jo Bankpun Sir-e-Daar Tha, Wo Nahi Raha

Wo Karam Raha Na Sitem Raha, Na Khushi Rahi Na Wo Gum Raha
Jo Inayato'n Ka, Shikayato'n Ka Shumaar Tha, Wo Nahi Raha
@Asad Rehman Lala koi aik specific share likh hi nahi pai, pori ki pori ghazal khoobsurat hai;)
 
Back
Top