Ghazal Woh jo ziddi tha bohat, main bhi to khudsar thehra.... Saad UllaH Shah

D

dasht-e-tanhae

New Member
9
 
Messages
2,705
Reaction score
2,177
Points
451
Woh jo ziddi tha bohat, main bhi to khudsar thehra
Ma’sala aur bigarna hi muqqadar thehra

Main to saahil tha jo chalta bhi to kaise chalta
Woh bhi moujon ki tarah aya to pal bhar thehra

Chaand pagla tha, chala aya jo meri janib
Main to baadal tha hamesha se be-ghar thehra

Woh chala aya khayalon main hina ki suraat
Rang dena tha ussey aur main pathar thehra

Main to baarish houn baras jaoun ga qatra qatra
Woh to kuch aur dhaley ga ke mar mar thehra

Koi dekhey to zara uss ki karishma-saazi
Dil main rehtey huey kaisey hai woh bahar thehra

Kuch hum bhi janooni they wafa kerney main
Aur kuch uss ki jafaoun main tawa-tar thehra

Saad phuloun se sajata kabhi anghan laakin
Woh to ghairoun ki tarah soch ke dar per thehra
 

Mashallah bohat pyari gzl ha.... Khoobsurat alfaz or monfarid soch se bharpoor gzl boht achi lagee...
 
Back
Top