Ghazal Ye jo nang thay ye jo naam thay mujhey kha gaye

D

dasht-e-tanhae

New Member
9
 
Messages
2,705
Reaction score
2,177
Points
451
ye jo nang thay ye jo naam thay mujhey kha gaye
ye khayal-e-pukh'ta jo khaam thay mujhey kha gaye​

kabhi apni aankh se zindagi pe nazar na ki
wohi zaawiye k jo aam thay mujhey kha gaye​

mein ameeq tha ke pala hua tha sakoot mein
ye jo log mehv-e-kalam thay mujhey kha gaye​

wo jo mujh mei aik ikaayi thi wo na jurr saki
yehi reza reza jo kaam thay mujhey kha gaye​

ye aeyaan jo aab-e-hayat hai isey kiya kerun
ke neyhaan jo zehar ke jaam thay mujhey kha gaye​

wo nageen jo khaatim-e-zindagi se phisal gaya
tu wohi jo merey ghulaam thay mujhey kha gaye​

mein wo shu'la tha jisey daam se tu z'rur na tha
pe jo waswasay teh-e-daam thay mujhey kha gaye​

JO KHULI KHULI THEIN ADAWATEIN MUJHEY RAAS THEIN
YE JO ZEHAR-KHAND SALAAM THAY MUJHEY KHA GAYE​
 

Kaha uss nein k tum ta’beer ho aur khuwab sa hon mein
Ho tum bekhuwab muddat say , azal say jagta hon mein​

Jo pocha dill ka soda kab kia ‘ kesay kia tum nein?
Wo bola ek pal thehroo yahi tu sochta hon mein​

Jo mein nein dasht mein ja kar pukara ‘hay khuda koi ?
Tu har zarra pukar utha kay uss ko janta hon mein​

Bhala uss dar pay ja kar kiss lye khali palat aye ?
Kaha ‘ manzil ko chook r bhi laga ik rasta hon mein​

Abhi socha he tha dhondhoon ufaq kay par ka rasta
Tu dil bola ‘ mera socho ‘ kabhi ka laa pata hon mein​

Hawa bolo samandar say ‘ tera bhi koi bichra hay ?
Kaha ‘ ja ja kay sahal par usi ko dhondhta hon mein
 

Nice Selection:)
Inka qalam kam hi parha hai ...kuch din pehly 2 nazmein parhii hein wo apkii post mein share ker rahy hein :)

muhabbat main kabhi dau raye ka imkaan nahin hota
ye hoti hai tau hoti hai
nahin hoti tau jitna bhi jatan kar lau nahin hoti

koi acha agar lag jaye tau sub khaamiyaan us ki
achanak . . . khoobiyon ki aurhni main chup si jati hain
zamana lakh samjhaye, sambhal jao
wo aisa hai, wo waisa hai
samajh main kuch nahin aata
sama’at aur basarat ko sujhaai kuch nahin deta
samajh aata hai us lamhay
ke jab daman main lakhoun chaid ho jayen
kabootar ke paroon ke saath liptay sub ayaan jab bhaid ho jayen

muhabbat main kabhi dau raye ka imkaan nahin hota
ye hoti hai tau hoti hai
nahin hoti tau jitna bhi jatan kar lau nahin hoti

(Fakhira Batool)

mujhay ik baat kehni hai
jo tum hotay ho mujh se door
udasi ki siyaah chaaddar
na janay kis tarah, kiyunkar
mere sir per
kahin se aan girti hai

(Fakhira Batool)

Assalam _O_Alykum
 
ye jo nang thay ye jo naam thay mujhey kha gaye
ye khayal-e-pukh'ta jo khaam thay mujhey kha gaye

kabhi apni aankh se zindagi pe nazar na ki
wohi zaawiye k jo aam thay mujhey kha gaye

mein ameeq tha ke pala hua tha sakoot mein
ye jo log mehv-e-kalam thay mujhey kha gaye

wo jo mujh mei aik ikaayi thi wo na jurr saki
yehi reza reza jo kaam thay mujhey kha gaye

ye aeyaan jo aab-e-hayat hai isey kiya kerun
ke neyhaan jo zehar ke jaam thay mujhey kha gaye

wo nageen jo khaatim-e-zindagi se phisal gaya
tu wohi jo merey ghulaam thay mujhey kha gaye

mein wo shu'la tha jisey daam se tu z'rur na tha
pe jo waswasay teh-e-daam thay mujhey kha gaye

JO KHULI KHULI THEIN ADAWATEIN MUJHEY RAAS THEIN
YE JO ZEHAR-KHAND SALAAM THAY MUJHEY KHA GAYE
Iss gzl ki tareef ky lie mere pas alfaaz nahee hain.... I am speechless.... Kindly agar kisi gzl ma maqta na ho or ap ko shayer ka pata ho tho plz shayer ka naam lik diya karen taa ke parne walo ko patha chale k kalam kis ka ha... Shukrya..
 

Kaha uss nein k tum ta’beer ho aur khuwab sa hon mein
Ho tum bekhuwab muddat say , azal say jagta hon mein

Jo pocha dill ka soda kab kia ‘ kesay kia tum nein?
Wo bola ek pal thehroo yahi tu sochta hon mein

Jo mein nein dasht mein ja kar pukara ‘hay khuda koi ?
Tu har zarra pukar utha kay uss ko janta hon mein

Bhala uss dar pay ja kar kiss lye khali palat aye ?
Kaha ‘ manzil ko chook r bhi laga ik rasta hon mein

Abhi socha he tha dhondhoon ufaq kay par ka rasta
Tu dil bola ‘ mera socho ‘ kabhi ka laa pata hon mein

Hawa bolo samandar say ‘ tera bhi koi bichra hay ?
Kaha ‘ ja ja kay sahal par usi ko dhondhta hon mein..

Jo mein nein dasht mein ja kar pukara ‘hay khuda koi ?
Tu har zarra pukar utha kay uss ko janta hon mein...

Iss shair ko parr kar besaakhta mere rongte karre ho gaye.... Boht hee gahri baath kahi ha fakhtra batool g ne...
 
Back
Top