Zindagi By Awais Kanwal Daula

Awais Daula

Awais Daula

New Member
2
 
Messages
1
Reaction score
0
Points
51
Kuch Swaal Aise hotey hain jo Hamesha Insaan ko tang kartey hain
Kabhi soney nhen daitey to kabhi sotey sotey jaga detey hain...Aashir ko bhi ek aisa he swaal darpaish tha...kae dinon se usko pareshan kie hue tha..Bechara jitna un baton ko sochta utna uljh jata...kuch haqeeqtain usey torr gai thi or kuch uski apni assumptions usey bikherey ja rahi thi..woh soch raha tha k usne to Khuda se bhi kabhi usko nhen manga kyun k woh janta tha k shyed woh us k lie bani hi nhen...
Uski nazar main bs woh khushboo ki manind thi jisey qaid kar k woh rakh he nhen skta tha..

Woh sab smjhta tha sab kuch planned that uski zindagi main...Woh chezen jo uski thi he nhen unka kya ghum???

Woh janta tha k uska status or kae aisi or wajuhat hain jo usko apni mouhabat k sath 4 din k lie bhi nhen dilwa sakti...zindagi sath guzarna ka khwab dekhna to door ki bat yeh to kabhi socha tak na tha...

Phir aj uskey samne ek swaal tha k agar woh sab janti bhi thi to us ne kabhi es k barey main socha kyun nhen??
Kya woh itna un important tha???

Us ki zindagi main logon ka ana jana laga raha tha magar kya usne kabhi Aashir k barey main socha tha???
Aashir ko shyed uske labon se maseehai chye thi..

Woh Aashir ki Mouhatat thi ,Crush tha kya tha he never knew...woh to shyed uski Vedio Game main miley kisi mission ki tarha thi jo har surat usey complete krna tha...

Woh Khoobsurat thi? na Hoor Pari...Aashir ne kabhi us nazar se usey shyed dekha hi nhen tha...
Aashir jo k ta umar phoolon ko rang se chunta raha tha ab bin dekhey k sodey or majboor tha...woh soda jis ka haasil bhi koi nhen...

Kaise kaise Rang dikhati ha Zindagi...


writer : Awais Kanwal Daula
 

Back
Top