Aik shaks nay bohat mahnat karkay apnay liya aik bohat hi aalishan ghar banaya. Ghar mukammal ho gaya, woh uss main rihaish ki gharz say khushi khushi aaya, Dahleez paar karnay kay liya qadam utha hi tha ke jism say ruuh parwaz kargai.
Ye tu aik kahani hai. Ab reality main aatay hai.
Gulshan-e-Iqbal Karachi main hamary apartment kay saaman aik bohat bara bangla hai, sufaid color ka. Maloom hoa keh jis shaks nay wo bangla banwaya tha bewee samait aik accident main mar gaya. Ab uss baray banglay kay sirf aik hissay main uss ka baita rahta hai. Sara bangla veeraan para hua hai.