5 Questions - What's your opinion?

@M Shah
Soch samjh kar aur apni raayai dai dusro k comments se inspire hokai unkai haan mai haan na melaaye ..apni soch ,apna nazriya apna experience apnai feelings


1) agar apko future dhaikna ka moqa melai to aap dhaikna chaahogai ?


na bilkul bhi nae....
jb apko pta chl jata k agay kia hna hai tou jo dil k andar ik achay ki umeed jo hti hai wo khtm ho jati jati hai(agr future isn't good) ya wo kaam ho jati hai (if good) bnda yh hi sochta hai k mae is say bhi bhter deserve krta tha...
like jb hum nay koi drama dekhna hta ya koi story prhni hti tou agr koi phly hi ending bta dai tou sari excitement khtm ho jati zindagi ka bhi yh hi haal hai k yh hi sochty k agaay kia ho ga... :p:p:p
like mae hamesha apni frnd say khti k achay ka gumaan rkhna chahiye khushi ki koi guarantee ni hti bs ik umeed hti hai js k saharay zindagi achii guzarti bnda yh hi sochta k agay sb bhtr ho ga...



2) agar maazi mai apko apkai faislo ko dubaara change karnai ka moqa melai to un faislo ki tadaad kya hoge ?

bht saray insan khata ka putla hai n ab jb peechay mur k dkhti hn tou yh hi lgta k mae nay bht saray faislay ghalat kiay but point is that k jo guzar gya ab usko wapas tou ni laya ja skta bs ik koshish hi ki ja skti so kr rahay don't know k 5-10 saal bd mae aj walay faislon ko theek kh rae hn gi ya nae pr yh bhi hai k jb insan mature hta hai tou wo yh bhi smjh jata k kch bhi us k ikhtiaar mae nae hai saray faislay asmaano pe htay hain so dua hi ki ja skti....

3) agar mohabbat yaktarfa ho to us mai aap aashiq banna chahaingai ya mashooq ?

depends on situation :p :p:p:p

4) jo apki zaroorat ho uskai rehna mushkil hai ya jis k leyai ap zaroorat ho uskai sath aur kiyo ?

agr bnday k putar ho tou dono hi itnay mushkil nae :p :p

jski ap zarurat ho us k sth rhnay mae ik khaami hai k ap mae ghamand paida hta hai k yh meray baghair ni reh skta...
n jo apki zarurat ho usko khonay k dar say insaan khdko mitti krlaita hai (like situation wo hojati menu kibla tay kaaba sohnra yaar disainda)


5) mohabbat .ezzat .ana .etebaar .wafa in mai se 2 ko choose karai aur waja bhi bataayai .

muhabbat:
agr mhbt ho gi tou baqi sari cheezain bhi hon gi khdbakhd hi rishtay mein..
jb ap kisisay mhbt krtay ho tou uski ezzat bhi krtay eitebaar bhi krtay n wafa bhi hti tahluq mae...
mhbt hr tahluq mae zaruri hai chae wo tahluq apka kisi insaan say ho,Allah say ho ya kisi bhi cheez say ho cz agr mhbt ho gi tahluq mae tou chahta bhi ho gi...hum aksar yh dua krtay k aey Allah pak meray dil mae apni chahat daal dain hum yh ni khty k mhbt daal dain jb k agr mhbt ho gi tou chahat ho gi...

etebaar:
agr eitebaar na ho tou mhbt bhi koi mtlb ni rktii phr....
Allah k case mae hum isay tawakul khty jo simply Allah pe aitebar hai k jo bhi ho jae ya mae jo bhi ghlat krun wo maaf kr dai ga n hr situation sy nikalay ga bhi wo...
insan k case mae hum isay aitebaar khty jo hr rishtay ki zarurat hai.....


bsssssssssss mera falsafa muk gya :p:p:p:p
 
or sab answers kisi say inspire ho kar nahi diye , or na he abhi tak kiisi ka koi replay read kia he ,


1) agar apko future dhaikna ka moqa melai to aap dhaikna chaahogai ?

Hal mein khush rehna sekh lia he , mustaqbil ki fikar nahi na dekhna chahon ga

2) agar maazi mai apko apkai faislo ko dubaara change karnai ka moqa melai to un faislo ki tadaad kya hoge ?

Razi pay Raza hon mein Har dam tera Ehsan he ,, meray khial mein Faisla krna mein Mashiat-e-ilahi shamal hoti he
so jo Meray rab ko meray liye behtar laga wesa faisla bhi karwa dia ,
kher esa koi faisla nahi jiss ko change krna chahon ,


3) agar mohabbat yaktarfa ho to us mai aap aashiq banna chahaingai ya mashooq ?

Ashiq banna pasand pasand kron ga , maashooq ka rutba bohat buland he wahan tak kon ja skta he

4) jo apki zaroorat ho uskai rehna mushkil hai ya jis k leyai ap zaroorat ho uskai sath aur kiyo ?

is ki smjh nahi aye mujhay ,

5) mohabbat .ezzat .ana .etebaar .wafa in mai se 2 ko choose karai aur waja bhi bataayai .

Ezzat , or Aitibar ,,, waja ye he inhhi mein baqi sab chezein chupi hoti hein , mohabbat bhi wafa bhi


chall veeeray hun mujhay number bata kitnay aye hein imtihaan mein say pass hon ya fail
 
@yusra avais koi pata nahi @M Shah veeray ka moood pay depend krta hay ussss k ,,, chalein ap batain meray answers
kia bataon mai thori biased ho jaon gi... ''aap nay zindagi ko hum say zaida parkha hai....duniya hum say zaida daikhi hai...tajarbay zaida hain...tou her jawab bahtareen hai''
ager apnay nazriyat say daikhon tou wo ashiq wali jo baat hai na buss disagree kerti hon mai us say.... :D
 
Back
Top